GUMRAH

Aaj agar roya to koi aansoo nahi pochhega,
Aaj agar sahi faisla nahi liya to bhavishya mein pachhtava hoga,
Sahi faisla pata hai par zindagi mein pehli baar dil manne ko taiyaar nahi,
Shayad iss raah par chala to sirf pachhtava hee rahega.

Gumrah ho gaya hoon or man nahi hota sahi raste par aane ka,
Apno ka vishwas tod chuka hoon par man nahi hota aage ke liye kuch sochne ka,
Mai zindagi mein galat kaam ke liye itna kabhi nahi badla,
Socha bahut der iss baare mein par koi samadhan nahi nikla.

– Praddyumn Kulshreshtha

Advertisement

JHOOTH KI DUNIYA

Ab to jhooth mein jeena hee achchha lagta hai,
Logo se kehta hoon ki tum aaj milogi,
Jhooth bhi bolta hoon to lagta hai ki sab asli mein ho raha hai,
Najaane kyun ab to maza aa raha hai.

Kal dosto ko bola ki tumse milne aa raha hoon,
Tumko milkar bahut kuchh kahoonga,
Kafi mazedar hai yeh jhooth ki duniya,
Ab to bas iss duniya mein khoya rahoonga.

Zindagi mein pehli baar beer pee to tum dikhai dene lagi,
Mai bhi bolne laga ki yeh beer ka nasha nahi hai tumhare pyaar ka nasha hai,
Ab to bas ek jhooth ki duniya bana rakhi hai,
Tumhara pyar hee iss khushi ki wajah hai.

Jab iss duniya mein aa chuka hoon to lagta hai ki waqt bas yahi tham jae,
Bahut samay se iss duniya mein jee raha hoon,
Jannat jaisi to hai yeh duniya,
Ab to aankhon ke saamne dikhta hai ki tumse pyaar ka izhaar kar raha hoon.

– Praddyumn Kulshreshtha

KAASH MAINE APNA PYAAR HEE NA KHOYA HOTA

Kaafi aadaten badal chuki hai,
Par tumhari aadat to pehle jaisi hai,
Sorry pehle jaisi to nahi hai,
Tumhe yaad karne ki aadat to bhad chuki hai.

Ab to office mein bhi man nahi lagta,
Tumhe har pal yaad karne ko jee karta,
Romantic gaane sunte hue tumhe yaad karna or bhi achchha lagta hai,
Najaane tumhe mera pyaar kyun nahi dikhta hai.

Kaam to karna hee padta hai,
Shaam ko nahi to TL chillayenge,
Sone se pehle tumhe yaad karta hoon,
Shayad hum tumse sapne mein hee mil payenge.

Asli mein to tumse mile hue kaafi samay ho chuka hai,
Sapne mein to tumse kal hee mila tha,
Vo sapne kaash khatam hee na hota,
Kaash maine apna pyaar hee na khoya hota.

-Praddyumn Kulshreshtha

TUMHARI AADAT

Jab bhi baarat dekhta hoon to tumhari yaad aati hai,
Lagta hai kai mai baarat leke tumhe kab lene aa paaoonga,
Jab bhi barsaat hoti hai to tumhari yaad aati hai,
Lagta hai ki tumhare saath barsaat mein kab bheeg paaoonga.

Aise to najaane kitne kisse hai,
Jab tumhe yaad kiya hai,
Log kehte hai ki mai sapno ki duniya mein rehta hoon,
Wo kehte hai ki yeh janam ab tumhare bina bitana hai.

Log kehte hai ki koi nai aadat ko dalne mein 21 din lagte hai,
Lekin tumhari aadat to 21 seconds se kam mein hee lag gayi,
Tumse bahut pyaar karta hoon,
Najaane tum kyun zindagi se chale gayi.

Kya ho gaya hai mujhko,
Aaj- kal Har shayri mein tumhara naam aane laga hai,
Kya ho gaya hai mujhko,
Har sapna tumhara aane laga hai.

– Praddyumn Kulshreshtha

SHAUK BADALNE LAGE HAI

Ab to shauk bhi badalne lage hai,
Tumhare khyal har pal aane lage hai,
Pehle to shauk tha shaiyriyon ka,
Ab shauk ban gaya hai tumhe yaad karne ka.

Tumhe yaad karta hoon to lagta hai ki ab koi kami nahi hai,
Tumhe dekha to dil ne kaha ki tere liye bani wahi hai,
Mai apni saari pareshaniyan bhool jaata hoon jab tumhe yaad karta hoon,
Par sach bhi tumhare khayalon ke baad pata chalta hai ki mai tumhara saath kho chuka hoon.

Bhula na paaoonga tumko kabhi,
Tumhara intezaar karta rahoonga,
Shayriyan to bahut likh chuka hoon tumhare liye,
Kabhi socha nahi tha ki tumhare bina jiyoonga.

– Praddyumn Kulshreshtha

NAJAANE TUMSE PYAAR KAB KARNE LAGA

Tumse door raha nahi jaata,
Tumhare bina maza bhi nahi aata,
Najaane tum kyun dikhai deti ho har jagah,
Najaane tumse pyaar kab karne laga.

4 January bhi kal hai,
Tumhari yaad mein har lamha guzara hai,
Likhte-Likhte wo din or bhi yaad aane laga,
Najaane tumse pyaar kab karne laga.

Praddyumn Kulshreshtha

PYAAR KA SILSILA

Kaash tum zindagi mein hoti,
Har pal mai khush hota,
Kaash tum zindagi se na jaati,
Mera dil bhi na tootta.

Ab sirf tumhari yaadon ka sahara hai,
Tum par najaane kyu mera dil aaya hai,
Ab to ladkiyon par bhi nazar bhi jaati,
Tumse itna pyaar karta hoon, tum wapas kyun nahi aati.

Yeh silsila bhi najaane kab tak chalta rahega,
Kaam bhi karna hai, yeh kavita bhi khatam karna padega,
Manager bhi aati hogi,
Ab kaam par dhyaan dena hoga.

– Praddyumn Kulshreshtha

KYUN MUJHE PYAAR KARNA SIKHAYA

Zindagi to kat hee rahi thi tumhare bina, Kyu mujhe saatve aasmaan par pahunchaya,
Ab to ishq karne se bhi dar lagta hai,
Kyu mujhe pyaar karna sikhaya.

Bahut kuchh zindagi mein chaha, Par sab kuch paa liya,
Tumse pyaar ka izhaar karna tha,
Najaane tumne mera pyaar kyu thukra diya.

Tumhari aaj bahut yaad aa rahi hai, Bas yeh sab likh kar man ko shant kar raha hoon,
Man bhi ab shaant nahi hota,
Tumhare bina bahut tadap raha hoon.

Abhi to rone ka man kar raha hai, Par aansoonon ko rok raha hai, Man bhi ab shant nahi hota, Tumhare bina bahut tadap raha hoon.

– Praddyumn Kulshreshtha

%d bloggers like this: