Chala jaaoonga tumhaari zindagi se,
Fir na miloonga kabhi tumse,
Kyu mujhe zindagi jeena sikhaya,
Ek sawaal hai kyu mujhe fir se pyaar karna sikhaaya.
Tumhaari khushi mein meri khushi hai,
Ab to bas zindagi mein gami hai,
Chala jaaoonga bahut door tumse,
Ab na milna kabhi mujhse.
Mai to sirf apni feelings share karna chahta tha,
Par aise reaction ka kabhi nahi socha tha,
Socha tha duniya ki har khushi doonga tumko,
Ab kabhi dikhai na dena mujhko.
Chali jaao meri zindagi se hamesha ke liye,
Kabhi na aana wapas mudkar,
Ab bhool chuka hoon kisi ko pasand karna hamesha ke liye,
Kabhi na pachhtaava karoonga tumhe khokar.
-Praddyumn Kulshreshtha