KAISE SAMJHAAOON DIL KO

Yaad aa jaati hai ab bhi tumhaari,
Bhula nahi paa raha Hoon tumko,
Tum jaa chuki ho Zindagi se,
Kaise samjhaaoon Dil ko.

Matlabi logo ko Zindagi se fek chuku Hoon,
Par nikaal nahi paa raha Hoon tumhe zindagi se,
Dil kehta hai ek din tum vapas aaogi,
Fir apne Pyaar ka izhaar karoonga tumse.

Kaisa izhaar karoonga,
Tum to zindagi mein hee nahi ho,
Tum jaa chuki ho zindagi se,
Najaane kyu ab bhi Dil ke itna kareeb ho.

Tumhaare Bina to har pal lagti hai saza,
Tumhaare saath to har par lagta tha maza,
Bhoolna padega iss maze ko,
Hua tha mujhe tumhaara Nasha.

Sapna dekhta hoon tumhaare saath barsaat mein bheegne ka,
Par yaad aata hai yeh sapna to kabhi poora hona hee nahi,
Panno par tumhaare baare mein likhta tha,
Mere dost bhi tumhe dekhkar kehte the ‘yaar aa rahi hai wahi.’

-Praddyumn Kulshreshtha

One thought on “KAISE SAMJHAAOON DIL KO

Leave a comment