KHUSHIYAN

Manta hoon ab hai thodi pareshani,
Door karoonga unko abhi,
Uljhan hai par kuch to samadhan hai,
Ab jo karke dikhaaoonga use duniya dekhegi.

Duniya ko dikhana nahi hai mera maksad,
Khushiyon ne kab ka de diya zindagi ke darwaze par dastak,
Bahut nacha liya dukho ne apne ishare pe,
Khud ko bolta hoon beeta waqt jaane de,

Ab lagega ki zindagi jeene mein alag hee hai baat,
Pareshaniyon ke saath betae hai din or raat,
Ab to khuda ka sar par hai haath,
Bahut jald duniya ki saari khushiyan hongi mere saath.

– Praddyumn Kulshreshtha

Leave a comment